Friday

29 Mar 2024

Nur ul Ilm Academy Anthem

By - Shaykh Tauqeer Chaudhary (db) Friday, September 13, 2013

NUItarana 

Transliteration:

Yeh Ilm ka ek dariya hai, 

aur dhikr is ka kinara hai.


Allah ke noor se roshan hai,
yeh Nur ul Ilm hamara hai.


Hum is dariya ki kashti hain,
aur manzil ishq ka toofan hai.


Is toofan mein kahan bhatak sakein,
jab nisbat ek sitara hai.


Dunya mein hai ek shor bapa,
nafsa nafsi ka aalam hai.


Hum ishq ke toofan mein gum hain,
aur ilm bhi ek sahara hai.


Yeh kashti nuh ki kashti hai,
imaan bachane nikle hain.


Be-laws muhabbat, azm, wafaa,
yeh kumba kitna pyara hai.


Aasaar hain qurb-e-qayamat ke,
Dajjal ki aamad aamad hai.


Yeh kashti apni kahf bhi hai,
aur is ke siwa kya chaara hai.


Sunnat ki baqaa, Allah ki razaa,
jannat ki hawaa apna maqsad.


Aao kashti main sab saath chalein,
tum se yeh arz khudara hai.


Imaan hai dil, Islam amal,
Ihsan ke sab salik hain yahan.


Jahan deen mukammal hoga faqeer, rehmat
ka yeh to ishaara hai.


Yeh Ilm ka ek dariya hai,
aur dhikr is ka kinara hai.


Allah ke noor se roshan hai,
yeh Nur ul Ilm hamara hai.


Translation:


This is a profound river of knowledge, and
remembrance its rippling shores,


With the light of Allah, The Great and
The Wise, our Nur-ul-Ilm always glows.


As a sailing ship in this river of ours,
destined for the storm of love,


We can never be lost, when Nisbah,
our star, guides us from above.


A deafening noise consumes the world,
a place of selfish discord,


Yet we, engulfed in this storm of love,
cling to knowledge as our support.


This sailing ship, like Noah’s Ark,
to save our faith we do embark,


With selfless love, confident and loyal,
our family, so exquisitely marked!


As signs of Qiyamah draw ever near,
and Dajjal’s wave is looming high,


This sailing ship is our cave of Kahf,
a haven of peace, till it passes us by.


Endurance of the Sunnah, the pleasure of Allah,
and to reach paradise, is our intent,


Lets sail together in this turbulent storm,
in the name of Allah, we plead and lament.


Iman is the heart, Islam is in action,
in Ihsaan we are here, wayfarers of states,


Where, O Poor soul, Deen reaches perfection,
is a sign, indeed of His mercy and grace.


This is a profound river of knowledge,
and remembrance its rippling shores,


With the light of Allah, The Great and The Wise,
our Nur-ul-Ilm always glows.